Tere Gham Ko Jaan Ki Talash Thi Tere Jaan-nisar Chale Gae

tere gham ko jaan ki talash thi tere jaan-nisar chale gae

teri rah mein karte the sar talab sar-e-rahguzar chale gae

teri kaj-adai se haar ke shab-e-intizar chali gai

mere zabt-e-haal se ruTh kar mere gham-gusar chale gae

na sawal-e-wasl na arz-e-gham na hikayaten na shikayaten

tere ahd mein dil-e-zar ke sabhi iKHtiyar chale gae

ye hamin the jin ke libas par sar-e-rah siyahi likhi gai

yahi dagh the jo saja ke hum sar-e-bazm-e-yar chale gae

na raha junun-e-ruKH-e-wafa ye rasan ye dar karoge kya

jinhen jurm-e-ishq pe naz tha wo gunahgar chale gae

(4426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Gham Ko Jaan Ki Talash Thi Tere Jaan-nisar Chale Gae In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Tere Gham Ko Jaan Ki Talash Thi Tere Jaan-nisar Chale Gae is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Tere Gham Ko Jaan Ki Talash Thi Tere Jaan-nisar Chale Gae for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Tere Gham Ko Jaan Ki Talash Thi Tere Jaan-nisar Chale Gae in PDF.