Subh Ki Aaj Jo Rangat Hai Wo Pahle To Na Thi

subh ki aaj jo rangat hai wo pahle to na thi

kya KHabar aaj KHiraman sar-e-gulzar hai kaun

sham gulnar hui jati hai dekho to sahi

ye jo nikla hai liye mishal-e-ruKHsar hai kaun

raat mahki hui aai hai kahin se puchho

aaj bikhrae hue zulf-e-trah-dar hai kaun

phir dar-e-dil pe koi dene laga hai dastak

jaaniye phir dil-e-wahshi ka talabgar hai kaun

(2398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Ki Aaj Jo Rangat Hai Wo Pahle To Na Thi In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Subh Ki Aaj Jo Rangat Hai Wo Pahle To Na Thi is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Subh Ki Aaj Jo Rangat Hai Wo Pahle To Na Thi for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Subh Ki Aaj Jo Rangat Hai Wo Pahle To Na Thi in PDF.