Tum Aae Ho Na Shab-e-intizar Guzri Hai

tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai

talash mein hai sahar bar bar guzri hai

junun mein jitni bhi guzri ba-kar guzri hai

agarche dil pe KHarabi hazar guzri hai

hui hai hazrat-e-naseh se guftugu jis shab

wo shab zarur sar-e-ku-e-yar guzri hai

wo baat sare fasane mein jis ka zikr na tha

wo baat un ko bahut na-gawar guzri hai

na gul khile hain na un se mile na mai pi hai

ajib rang mein ab ke bahaar guzri hai

chaman pe ghaarat-e-gul-chin se jaane kya guzri

qafas se aaj saba be-qarar guzri hai

(3665) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Aae Ho Na Shab-e-intizar Guzri Hai In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Tum Aae Ho Na Shab-e-intizar Guzri Hai is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Tum Aae Ho Na Shab-e-intizar Guzri Hai for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Tum Aae Ho Na Shab-e-intizar Guzri Hai in PDF.