Wafa-e-wada Nahin Wada-e-digar Bhi Nahin

wafa-e-wada nahin wada-e-digar bhi nahin

wo mujh se ruThe to the lekin is qadar bhi nahin

baras rahi hai harim-e-hawas mein daulat-e-husn

gada-e-ishq ke kase mein ek nazar bhi nahin

na jaane kis liye ummid-war baiTha hun

ek aisi rah pe jo teri rahguzar bhi nahin

nigah-e-shauq sar-e-bazm be-hijab na ho

wo be-KHabar hi sahi itne be-KHabar bhi nahin

ye ahd-e-tark-e-mohabbat hai kis liye aaKHir

sukun-e-qalb udhar bhi nahin idhar bhi nahin

(5881) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wafa-e-wada Nahin Wada-e-digar Bhi Nahin In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Wafa-e-wada Nahin Wada-e-digar Bhi Nahin is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Wafa-e-wada Nahin Wada-e-digar Bhi Nahin for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Wafa-e-wada Nahin Wada-e-digar Bhi Nahin in PDF.