Wahin Hain Dil Ke Qarain Tamam Kahte Hain

wahin hain dil ke qarain tamam kahte hain

wo ek KHalish ki jise tera nam kahte hain

tum aa rahe ho ki bajti hain meri zanjiren

na jaane kya mere diwar-o-baam kahte hain

yahi kanar-e-falak ka siyah-tarin gosha

yahi hai matla-e-mah-e-tamam kahte hain

piyo ki muft laga di hai KHun-e-dil ki kashid

giran hai ab ke mai-e-lala-fam kahte hain

faqih-e-shahr se mai ka jawaz kya puchhen

ki chandni ko bhi hazrat haram kahte hain

nawa-e-murgh ko kahte hain ab ziyan-e-chaman

khile na phul ise intizam kahte hain

kaho to hum bhi chalen 'faiz' ab nahin sar-e-dar

wo farq-e-martaba-e-KHas-o-am kahte hain

(2269) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahin Hain Dil Ke Qarain Tamam Kahte Hain In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Wahin Hain Dil Ke Qarain Tamam Kahte Hain is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Wahin Hain Dil Ke Qarain Tamam Kahte Hain for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Wahin Hain Dil Ke Qarain Tamam Kahte Hain in PDF.