Wo Buton Ne Dale Hain Waswase Ki Dilon Se KHauf-e-KHuda Gaya

wo buton ne Dale hain waswase ki dilon se KHauf-e-KHuda gaya

wo paDi hain roz qayamaten ki KHayal-e-roz-e-jaza gaya

jo nafas tha KHar-e-gulu bana jo uThe the hath lahu hue

wo nashat-e-ah-e-sahr gai wo waqar-e-dast-e-dua gaya

na wo rang fasl-e-bahaar ka na rawish wo abr-e-bahaar ki

jis ada se yar the aashna wo mizaj-e-baad-e-saba gaya

jo talab pe ahd-e-wafa kiya to wo aabru-e-wafa gai

sar-e-am jab hue muddai to sawab-e-sidq-o-safa gaya

abhi baadban ko tah rakho abhi muztarib hai ruKH-e-hawa

kisi raste mein hai muntazir wo sukun jo aa ke chala gaya

(4447) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Buton Ne Dale Hain Waswase Ki Dilon Se KHauf-e-KHuda Gaya In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Wo Buton Ne Dale Hain Waswase Ki Dilon Se KHauf-e-KHuda Gaya is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Wo Buton Ne Dale Hain Waswase Ki Dilon Se KHauf-e-KHuda Gaya for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Wo Buton Ne Dale Hain Waswase Ki Dilon Se KHauf-e-KHuda Gaya in PDF.