Yaad Ka Phir Koi Darwaza Khula AaKHir-e-shab

yaad ka phir koi darwaza khula aaKHir-e-shab

dil mein bikhri koi KHushbu-e-qaba aaKHir-e-shab

subh phuTi to wo pahlu se uTha aaKHir-e-shab

wo jo ek umr se aaya na gaya aaKHir-e-shab

chand se mand sitaron ne kaha aaKHir-e-shab

kaun karta hai wafa ahd-e-wafa aaKHir-e-shab

lams-e-jaanana liye masti-e-paimana liye

hamd-e-bari ko uThe dast-e-dua aaKHir-e-shab

ghar jo viran tha sar-e-sham wo kaise kaise

furqat-e-yar ne aabaad kiya aaKHir-e-shab

jis ada se koi aaya tha kabhi awwal-e-shab

usi andaz se chal baad-e-saba aaKHir-e-shab

(2830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad Ka Phir Koi Darwaza Khula AaKHir-e-shab In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Yaad Ka Phir Koi Darwaza Khula AaKHir-e-shab is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Yaad Ka Phir Koi Darwaza Khula AaKHir-e-shab for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Yaad Ka Phir Koi Darwaza Khula AaKHir-e-shab in PDF.