Yak-ba-yak Shorish-e-fughan Ki Tarah

yak-ba-yak shorish-e-fughan ki tarah

fasl-e-gul aai imtihan ki tarah

sehn-e-gulshan mein bahr-e-mushtaqan

har rawish khinch gai kaman ki tarah

phir lahu se har ek kasa-e-dagh

pur hua jam-e-arghawan ki tarah

yaad aaya junun-e-gum-gashta

be-talab qarz-e-dostan ki tarah

jaane kis par ho mehrban qatil

be-sabab marg-e-na-gahan ki tarah

har sada par lage hain kan yahan

dil sambhaale raho zaban ki tarah

(1979) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yak-ba-yak Shorish-e-fughan Ki Tarah In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Yak-ba-yak Shorish-e-fughan Ki Tarah is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Yak-ba-yak Shorish-e-fughan Ki Tarah for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Yak-ba-yak Shorish-e-fughan Ki Tarah in PDF.