Ye Jafa-e-gham Ka Chaara Wo Najat-e-dil Ka Aalam

ye jafa-e-gham ka chaara wo najat-e-dil ka aalam

tera husn dast-e-isa teri yaad ru-e-maryam

dil o jaan fida-e-rahe kabhi aa ke dekh hamdam

sar-e-ku-e-dil-figaran shab-e-arzu ka aalam

teri did se siwa hai tere shauq mein bahaaran

wo chaman jahan giri hai tere gesuon ki shabnam

ye ajab qayamaten hain tere rahguzar mein guzaran

na hua ki mar miTen hum na hua ki ji uThen hum

lo suni gai hamari yun phire hain din ki phir se

wahi gosha-e-qafas hai wahi fasl-e-gul ka matam

(2583) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jafa-e-gham Ka Chaara Wo Najat-e-dil Ka Aalam In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ye Jafa-e-gham Ka Chaara Wo Najat-e-dil Ka Aalam is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ye Jafa-e-gham Ka Chaara Wo Najat-e-dil Ka Aalam for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ye Jafa-e-gham Ka Chaara Wo Najat-e-dil Ka Aalam in PDF.