Ai Sham Mehrban Ho

ai sham mehrban ho

ai sham-e-shahryaran

hum pe bhi mehrban ho

dozaKHi dopahar sitam ki

be-sabab sitam ki

dopahar dard-o-ghaiz-o-gham ki

be-zaban dard-o-ghaiz-o-gham ki

is dozaKHi dopahar ke taziyane

aaj tan par dhanak ki surat

qaus-dar-qaus baT gae hain

zaKHm sab khul gae hain

dagh jaana tha chhaT gae hain

tere toshe mein kuchh to hoga

marham-e-dard ka do-shaala

tan ke us ang par uDha de

dard sab se siwa jahan ho

ai sham mehrban ho

ai sham-e-shaharyaran

hum pe mehrban ho

dozaKHi dasht nafraton ke

bedard nafraton ke

kirchiyan dida-e-hasad ki

KHas-o-KHashak ranjishon ke

itni sunsan shahrahen

itni gunjaan qatl-gahen

jin se aae hain hum guzar kar

aabla ban ke har qadam par

yun panw kaT gae hain

raste simaT gae hain

maKHmalen apne baadalon ki

aaj panw-tale bichha de

shafi-e-karb-e-rah-rawan ho

ai sham mehrban ho

ai mah-e-shab-e-nigaran

ai rafiq-e-dil-figaran

is sham ham-zaban ho

ai sham mehrban ho

ai sham mehrban ho

ai sham-e-shaharyaran

hum pe mehrban ho

(1873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Sham Mehrban Ho In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ai Sham Mehrban Ho is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ai Sham Mehrban Ho for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ai Sham Mehrban Ho in PDF.