Dhaka Se Wapsi Par

hum ki Thahre ajnabi itni mudaraaton ke baad

phir banenge aashna kitni mulaqaton ke baad

kab nazar mein aaegi be-dagh sabze ki bahaar

KHun ke dhabbe dhulenge kitni barsaton ke baad

the bahut bedard lamhe KHatm-e-dard-e-ishq ke

thin bahut be-mehr subhen mehrban raaton ke baad

dil to chaha par shikast-e-dil ne mohlat hi na di

kuchh gile shikwe bhi kar lete munajaton ke baad

un se jo kahne gae the 'faiz' jaan sadqe kiye

an-kahi hi rah gai wo baat sab baaton ke baad

(4002) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhaka Se Wapsi Par In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Dhaka Se Wapsi Par is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Dhaka Se Wapsi Par for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Dhaka Se Wapsi Par in PDF.