Ek Naghma Karbala-e-beirut Ke Liye

beirut nigar-e-bazm-e-jahan

beirut badil-e-bagh-e-jinan

bachchon ki hansti aankhon ke

jo aaine chakna-chur hue

ab un ke sitaron ki lau se

is shahr ki raaten raushan hain

aur raKHshan hai arz-e-labnan

beirut nigar-e-bazm-e-jahan

jo chehre lahu ke ghaze ki

zinat se siwa pur-nur hue

ab un ke rangin partaw se

is shahr ki galiyan raushan hain

aur taban hai arz-e-labnan

beirut nigar-e-bazm-e-jahan

har viran ghar, har ek khanDar

hum pa-e-qasr-e-dara hai

har ghazi rashk-e-askandar

har duKHtar ham-sar-e-laila hai

ye shahr azal se qaem hai

ye shahr abad tak daim hai

beirut nigar-e-bazm-e-jahan

beirut badil-e-bagh-e-jinan

(2354) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Naghma Karbala-e-beirut Ke Liye In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ek Naghma Karbala-e-beirut Ke Liye is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ek Naghma Karbala-e-beirut Ke Liye for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ek Naghma Karbala-e-beirut Ke Liye in PDF.