Ek Rah-guzar Par

wo jis ki did mein lakhon masarraten pinhan

wo hasan jis ki tamanna main jannaten pinhan

hazar fitne tah-e-pa-e-naz KHak-nashin

har ek nigah KHumar-e-shabab se rangin

shabab jis se taKHayyul pe bijliyan barsen

waqar jis ki rafaqat ko shoKHiyan tarsen

ada-e-laghzish-e-pa par qayamaten qurban

bayaz-ruKH pe sahar ki sabahaten qurban

siyah zulfon mein warafta nikhaton ka hujum

tawil raaton ki KHwabida rahaton ka hujum

wo aankh jis ke banaw pa KHaliq itrae

zaban-e-sher ko tarif karte sharm aae

wo honT faiz se jin ke bahaar lala-farosh

bahisht o kausar o tasnim o salsabil ba-dosh

gudaz jism qaba jis pe saj ke naz kare

daraaz qad jise sarw-e-sahi namaz kare

gharaz wo husn jo mohtaj-e-wasf-o-nam nahin

wo hasan jis ka tasawwur bashar ka kaam nahin

kisi zamane mein is rah-guzar se guzra tha

ba-sad ghurur o tajammul idhar se guzra tha

aur ab ye rah-guzar bhi hai dil-fareb o hasin

hai is ki KHak mein kaif-e-sharab-o-sher makin

hawa mein shoKHi-e-raftar ki adaen hain

faza mein narmi-e-guftar ki sadaen hain

gharaz wo husn ab is rah ka juzw-e-manzar hai

niyaz-e-ishq ko ek sajda-gah mayassar hai

(2326) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Rah-guzar Par In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ek Rah-guzar Par is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ek Rah-guzar Par for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ek Rah-guzar Par in PDF.