Ek Shahr-ashob Ka Aaghaz

ab bazm-e-suKHan sohbat-e-lab-soKHtagan hai

ab halqa-e-mai taefa-e-be-talaban hai

ghar rahiye to virani-e-dil khane ko aawe

rah chaliye to har gam pe ghaugha-e-sagan hai

paiwand-e-rah-e-kucha-e-zar chashm-e-ghazalan

pabos-e-hawas afsar-e-shamshad-qadan hai

yan ahl-e-junun yak-ba-digar dast-o-gireban

wan jaish-e-hawas tegh-ba-kaf darpa-e-jaan hai

ab sahab-e-insaf hai KHud talib-e-insaf

mohr us ki hai mizan ba-dast-e-digran hai

hum sahal-talab kaun se farhad the lekin

ab shahr mein tere koi hum sa bhi kahan hai

(2093) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Shahr-ashob Ka Aaghaz In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ek Shahr-ashob Ka Aaghaz is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ek Shahr-ashob Ka Aaghaz for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ek Shahr-ashob Ka Aaghaz in PDF.