Hum To Majbur The Is Dil Se

hum to majbur the is dil se ki jis mein har dam

gardish-e-KHun se wo kohram bapa rahta hai

jaise rindadan-e-bala-nosh jo mil baiThen baham

mai-kade mein safar-e-jam bapa rahta hai

soz-e-KHatir ko mila jab bhi sahaara koi

dagh-e-hirman koi, dard-e-tamanna koi

marham-e-yas se mail-ba-shifa hone laga

zaKHm-e-ummid koi phir se hara hone laga

hum to majbur the is dil se ki jis ki zid par

hum ne us raat ke mathe pe sahar ki tahrir

jis ke daman mein andhere ke siwa kuchh bhi na tha

hum ne is dasht ko Thahra liya firdaus-e-nazir

jis mein juz sanat-e-KHun-e-sar-e-pa kuchh bhi na tha

dil ko tabir koi aur gawara hi na thi

kulfat-e-zist to manzur thi har taur magar

rahat-e-marg kisi taur gawara hi na thi

(2613) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum To Majbur The Is Dil Se In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Hum To Majbur The Is Dil Se is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Hum To Majbur The Is Dil Se for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Hum To Majbur The Is Dil Se in PDF.