Hum To Majbur-e-wafa Hain

tujh ko kitnon ka lahu chahiye ai arz-e-watan

jo tere aariz-e-be-rang ko gulnar karen

kitni aahon se kaleja tera ThanDa hoga

kitne aansu tere sahraon ko gulzar karen

tere aiwanon mein purze hue paiman kitne

kitne wade jo na aasuda-e-iqrar hue

kitni aankhon ko nazar kha gai bad-KHwahon ki

KHwab kitne teri shah-rahon mein sangsar hue

bala-kashan-e-mohabbat pe jo hua so hua

jo mujh pe guzri mat us se kaho, hua so hua

mabaada ho koi zalim tera gareban-gir

lahu ke dagh tu daman se dho, hua so hua

hum to majbur-e-wafa hain magar ai jaan-e-jahan

apne ushshaq se aise bhi koi karta hai

teri mahfil ko KHuda rakkhe abad tak qaem

hum to mehman hain ghaDi bhar ke hamara kya hai

(3231) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum To Majbur-e-wafa Hain In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Hum To Majbur-e-wafa Hain is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Hum To Majbur-e-wafa Hain for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Hum To Majbur-e-wafa Hain in PDF.