Husn Aur Maut

jo phul sare gulistan mein sab se achchha ho

farogh-e-nur ho jis se faza-e-rangin mein

KHizan ke jaur-o-sitam ko na jis ne dekha ho

bahaar ne jise KHun-e-jigar se pala ho

wo ek phul samata hai chashm-e-gulchin mein

hazar phulon se aabaad bagh-e-hasti hai

ajal ki aankh faqat ek ko tarasti hai

kai dilon ki umidon ka jo sahaara ho

faza-e-dahr ki aaludgi se baala ho

jahan mein aa ke abhi jis ne kuchh na dekha ho

na qaht-e-aish-o-masarrat na, gham ki arzani

kanar-e-rahmat-e-haq mein use sulati hai

sukut-e-shab mein farishton ki marsiya-KHwani

tawaf karne ko subh-e-bahaar aati hai

saba chaDhane ko jannat ke phul lati hai

(3239) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Aur Maut In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Husn Aur Maut is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Husn Aur Maut for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Husn Aur Maut in PDF.