Idhar Na Dekho

idhar na dekho ki jo bahadur

qalam ke ya tegh ke dhani the

jo azm-o-himmat ke muddai the

ab un ke hathon mein sidq-e-iman ki

aazmuda purani talwar muD gai hai

jo kaj-kulah sahib-e-hasham the

jo ahl-e-dastar mohtaram the

hawas ke pur-pech raston mein

kulah kisi ne girau rakh di

kisi ne dastar bech di hai

udhar bhi dekho

jo apne ruKHshan lahu ke dinar

muft bazar mein luTa kar

nazar se ojhal hue

aur apni lahad mein is waqt tak ghani hain,

udhar bhi dekho

jo harf-e-haq ki salib par apna tan saja kar

jahan se ruKHsat hue

aur ahl-e-jahan mein is waqt tak nabi hain

(4169) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Idhar Na Dekho In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Idhar Na Dekho is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Idhar Na Dekho for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Idhar Na Dekho in PDF.