Iqbaal

aaya hamare des mein ek KHush-nawa faqir

aaya aur apni dhun mein ghazal-KHwan guzar gaya

sunsan rahen KHalq se aabaad ho gain

viran mai-kadon ka nasiba sanwar gaya

thin chand hi nigahen jo us tak pahunch sakin

par us ka git sab ke dilon mein utar gaya

ab dur ja chuka hai wo shah-e-gada-numa

aur phir se apne des ki rahen udas hain

chand ek ko yaad hai koi us ki ada-e-KHas

do ek nigahen chand azizon ke pas hain

par us ka git sab ke dilon mein muqim hai

aur us ke lai se saikaDon lazzat-shanas hain

is git ke tamam mahasin hain la-zawal

is ka wafur is ka KHarosh is ka soz-o-saz

ye git misal-e-shola-e-jawwala tund-o-tez

is ki lapak se baad-e-fana ka jigar gudaz

jaise charagh wahshat-e-sar-sar se be-KHatar

ya sham-e-bazm subh ki aamad se be-KHabar

(1780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Iqbaal In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Iqbaal is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Iqbaal for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Iqbaal in PDF.