Irani Talaba Ke Nam

ye kaun saKHi hain

jin ke lahu ki

ashrafiyan chhan-chhan, chhan-chhan,

dharti ke paiham pyase

kashkol mein Dhalti jati hain

kashkol ko bharti hain

ye kaun jawan hain arz-e-ajam

ye lakh-luT

jin ke jismon ki

bharpur jawani ka kundan

yun KHak mein reza reza hai

yun kucha kucha bikhra hai

ai arz-e-ajam, ai arz-e-ajam!

kyun noch ke hans hans phenk diye

un aankhon ne apne nilam

un honTon ne apne marjaan

un hathon ki be-kal chandi

kis kaam aai kis hath lagi

ai puchhne wale pardesi

ye tifl o jawan

us nur ke nau-ras moti hain

us aag ki kachchi kaliyan hain

jis miThe nur aur kaDwi aag

se zulm ki andhi raat mein phuTa

subh-e-baghawat ka gulshan

aur subh hui man-man, tan-tan,

un jismon ka chandi sona

un chehron ke nilam, marjaan,

jag-mag jag-mag ruKHshan ruKHshan

jo dekhna chahe pardesi

pas aae dekhe ji bhar kar

ye zist ki rani ka jhumar

ye amn ki dewi ka kangan!

(1663) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Irani Talaba Ke Nam In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Irani Talaba Ke Nam is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Irani Talaba Ke Nam for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Irani Talaba Ke Nam in PDF.