Is Waqt To Yun Lagta Hai

is waqt to yun lagta hai ab kuchh bhi nahin hai

mahtab na suraj, na andhera na sawera

aankhon ke darichon pe kisi husn ki chilman

aur dil ki panahon mein kisi dard ka Dera

mumkin hai koi wahm tha, mumkin hai suna ho

galiyon mein kisi chap ka ek aaKHiri phera

shaKHon mein KHayalon ke ghane peD ki shayad

ab aa ke karega na koi KHwab basera

ek bair na ek mehr na ek rabt na rishta

tera koi apna, na paraya koi mera

mana ki ye sunsan ghaDi saKHt gaDi hai

lekin mere dil ye to faqat ek hi ghaDi hai

himmat karo jine ko to ek umr paDi hai

(8283) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Waqt To Yun Lagta Hai In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Is Waqt To Yun Lagta Hai is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Is Waqt To Yun Lagta Hai for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Is Waqt To Yun Lagta Hai in PDF.