Jaras-e-gul Ki Sada

is hawas mein ki pukare jaras-e-gul ki sada

dasht-o-sahra mein saba phirti hai yun aawara

jis tarah phirte hain hum ahl-e-junun aawara

hum pe waraftagi-e-hosh ki tohmat na dharo

hum ki rummaz-e-rumuz-e-gham-e-pinhani hain

apni gardan pe bhi hai rishta-fagan KHatir-e-dost

hum bhi shauq-e-rah-e-dildar ke zindani hain

jab bhi abru-e-dar-e-yar ne irshad kiya

jis bayaban mein bhi hum honge chale aaenge

dar khula dekha to shayad tumhein phir dekh saken

band hoga to sada de ke chale jaenge

(2151) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaras-e-gul Ki Sada In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Jaras-e-gul Ki Sada is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Jaras-e-gul Ki Sada for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Jaras-e-gul Ki Sada in PDF.