Jashn Ka Din

junun ki yaad manao ki jashn ka din hai

salib-o-dar sajao ki jashn ka din hai

tarab ki bazm hai badlo dilon ke pairahan

jigar ke chaak silao ki jashn ka din hai

tunuk-mizaj hai saqi na rang-e-mai dekho

bhare jo shisha chaDhao ki jashn ka din hai

tamiz-e-rahbar-o-rahzan karo na aaj ke din

har ek se hath milao ki jashn ka din hai

hai intizar-e-malamat mein nasehon ka hujum

nazar sambhaal ke jao ki jashn ka din hai

wo shorish-e-gham-e-dil jis ke lai nahin koi

ghazal ki dhan mein sunao ki jashn ka din hai

(1706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jashn Ka Din In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Jashn Ka Din is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Jashn Ka Din for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Jashn Ka Din in PDF.