Jis Roz Qaza Aaegi

kis tarah aaegi jis roz qaza aaegi

shayad is tarah ki jis taur kabhi awwal-e-shab

be-talab pahle-pahal marhamat-e-bosa-e-lab

jis se khulne lagen har samt tilismat ke dar

aur kahin dur se anjaan gulabon ki bahaar

yak-ba-yak sina-e-mahtab ko taDpane lage

shayad is tarah ki jis taur kabhi aaKHir-e-shab

nim-wa kaliyon se sarsabz sahar

yak-ba-yak hujra-e-mahbub mein lahrane lage

aur KHamosh darichon se ba-hangam-e-rahil

jhanjhanate hue taron ki sada aane lage

kis tarah aaegi jis roz qaza aaegi

shayad is tarah ki jis taur tah-e-nok-e-sinan

koi rag wahima-e-dard se chillane lage

aur qazzaq-e-sinan-dast ka dhundla saya

az-karan-ta-ba-karan dahr pe manDlane lage

kis tarah aaegi jis roz qaza aaegi

KHwah qatil ki tarah aae ki mahbub-sifat

dil se bas hogi yahi harf-e-widaa ki surat

lillahil-hamd ba-anjam-e-dil-e-dil-zadagan

kalma-e-shukr ba-nam-e-lab-e-shirin-dahanan

(1957) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Roz Qaza Aaegi In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Jis Roz Qaza Aaegi is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Jis Roz Qaza Aaegi for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Jis Roz Qaza Aaegi in PDF.