KHurshid-e-mahshar Ki Lau

aaj ke din na puchho mere dosto

dur kitne hain KHushiyan manane ke din

khul ke hansne ke din git gane ke din

pyar karne ke din dil lagane ke din

aaj ke din na puchho mere dosto

zaKHm kitne abhi baKHt-e-bismil mein hain

dasht kitne abhi rah-e-manzil mein hain

tir kitne abhi dast-e-qatil mein hain

aaj ka din zubun hai mere dosto

aaj ke din to yun hai mere dosto

jaise dard-o-alam ke purane nishan

sab chale su-e-dil karwan karwan

hath sine pe rakkho to har ustuKHan

se uThe nala-e-al-aman al-aman

aaj ke din na puchho mere dosto

kab tumhaare lahu ke darida alam

farq-e-KHurshid-e-mahshar pe honge raqam

az-karan ta-karan kab tumhaare qadam

le ke uTThega wo bahr-e-KHun yam ba yam

jis mein dhul jaega aaj ke din ka gham

sare dard-o-alam sare jaur-o-sitam

dur kitni hai KHurshid-e-mahshar ki lau

aaj ke din na puchho mere dosto

(2102) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHurshid-e-mahshar Ki Lau In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. KHurshid-e-mahshar Ki Lau is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem KHurshid-e-mahshar Ki Lau for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download KHurshid-e-mahshar Ki Lau in PDF.