KHusha Zamanat-e-gham

dayar-e-yar teri joshish-e-junun pe salam

mere watan tere daman-e-tar-tar ki KHair

rah-e-yaqin teri afshan-e-KHak-o-KHun pe salam

mere chaman tere zaKHmon ke lala-zar ki KHair

har ek KHana-e-viran ki tirgi pe salam

har ek KHak-basar, KHanuman-KHarab ki KHair

har ek kushta-e-na-haq ki KHamushi pe salam

har ek dida-e-pur-nam ki aab-o-tab ki KHair

rawan rahe ye riwayat, KHusha zamanat-e-gham

nashat-e-KHatm-e-gham-e-kaenat se pahle

har ek ke sath rahe daulat-e-amanat-e-gham

koi najat na pae najat se pahle

sakun mile na kabhi tere pa-figaron ko

jamal-e-KHun-e-sar-e-KHar ko nazar na lage

aman mile na kahin tere jaan-nisaron ko

jalal-e-farq-e-sar-e-dar ko nazar na lage

(2143) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHusha Zamanat-e-gham In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. KHusha Zamanat-e-gham is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem KHusha Zamanat-e-gham for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download KHusha Zamanat-e-gham in PDF.