Koi Aashiq Kisi Mahbuba Se!

yaad ki rahguzar jis pe isi surat se

muddaten bit gai hain tumhein chalte chalte

KHatm ho jae jo do chaar qadam aur chalo

moD paDta hai jahan dasht-e-faramoshi ka

jis se aage na koi main hun na koi tum ho

sans thame hain nigahen ki na jaane kis dam

tum palaT aao guzar jao ya muD kar dekho

garche waqif hain nigahen ki ye sab dhoka hai

gar kahin tum se ham-aghosh hui phir se nazar

phuT niklegi wahan aur koi rahguzar

phir isi tarah jahan hoga muqabil paiham

saya-e-zulf ka aur jumbish-e-bazu ka safar

dusri baat bhi jhuTi hai ki dil jaanta hai

yan koi moD koi dasht koi ghat nahin

jis ke parde mein mera mah-e-rawan Dub sake

tum se chalti rahe ye rah, yunhi achchha hai

tum ne muD kar bhi na dekha to koi baat nahin

(3812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Aashiq Kisi Mahbuba Se! In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Koi Aashiq Kisi Mahbuba Se! is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Koi Aashiq Kisi Mahbuba Se! for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Koi Aashiq Kisi Mahbuba Se! in PDF.