Panw Se Lahu Ko Dho Dalo

hum kya karte kis rah chalte

har rah mein kanTe bikhre the

in rishton ke jo chhuT gae

in sadiyon ke yaranon ke

jo ek ek kar ke TuT gae

jis rah chale jis samt gae

yun panw lahuluhan hue

sab dekhne wale kahte the

ye kaisi rit rachai hai

ye mehndi kyun lagai hai

wo kahte the kyun qaht-e-wafa

ka nahaq charcha karte ho

panw se lahu ko dho Dalo!

ye rahen jab aT jaengi

sau raste in se phuTenge

tum dil ko sambhaalo jis mein abhi

sau tarah ke nashtar TuTenge

(1815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Panw Se Lahu Ko Dho Dalo In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Panw Se Lahu Ko Dho Dalo is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Panw Se Lahu Ko Dho Dalo for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Panw Se Lahu Ko Dho Dalo in PDF.