Sajjad-zahir Ke Nam

na ab hum sath sair-e-gul karenge

na ab mil kar sar-e-maqtal chalenge

hadis-e-dil-baran baham karenge

na KHun-e-dil se sharh-e-gham karenge

na laila-e-suKHan ki dost-dari

na gham-ha-e-watan par ashk-bari

sunenge naghma-e-zanjir mil kar

na shab bhar mil ke chhalkaenge saghar

ba-nam-e-shahid-e-nazuk-KHayalan

ba-yaad-e-masti-e-chashm-e-ghazalan

ba-nam-e-imbisat-e-bazm-e-rindan

ba-yaad-e-kulfat-e-ayyam-e-zindan

saba aur us ka andaz-e-takallum

sahar aur us ka aaghaz-e-tabassum

faza mein ek haala sa jahan hai

yahi to masnad-e-pir-e-mughan hai

sahar-gah ab usi ke nam saqi

karen itmam-e-daur jam saqi

bisat-e-baada-o-mina uTha lo

baDha do sham-e-mahfil bazm walo

piyo ab ek jam-e-al-widai

piyo aur pi ke saghar toD Dalo

(2333) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sajjad-zahir Ke Nam In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Sajjad-zahir Ke Nam is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Sajjad-zahir Ke Nam for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Sajjad-zahir Ke Nam in PDF.