Sipahi Ka Marsiya

uTTho ab maTi se uTTho

jago mere lal

ab jago mere lal

tumri sej jawan karan

dekho aai rain andhyaran

nile shaal do-shaale le kar

jin mein in dukhiyan akhiyan ne

Dher kiye hain itne moti

itne moti jin ki jyoti

dan se tumra

jag jag laga

nam chamakne

uTTho ab maTi se uTTho

jago mere lal

ab jago mere lal

ghar ghar bikhra bhor ka kundan

ghor-andhera apna aangan

jaane kab se rah take hain

baali dulhaniya banke wiran

suna tumra raj paDa hai

dekho kitna kaj paDa hai

bairi biraje raj-singhasan

tum maTi mein lal

uTTho ab maTi se uTTho, jago mere lal

haT na karo maTi se uTTho, jago mere lal

ab jago mere lal

(1962) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Sipahi Ka Marsiya In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Sipahi Ka Marsiya is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Sipahi Ka Marsiya for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Sipahi Ka Marsiya in PDF.