Tauq-o-dar Ka Mausam

rawish-rawish hai wahi intizar ka mausam

nahin hai koi bhi mausam bahaar ka mausam

giran hai dil pe gham-e-rozgar ka mausam

hai aazmaish-e-husn-e-nigar ka mausam

KHusha nazara-e-ruKHsar-e-yar ki saat

KHusha qarar-e-dil-e-be-qarar ka mausam

hadis-e-baada-o-saqi nahin to kis masraf

KHiram-e-abr-e-sar-e-kohsar ka mausam

nasib-e-sohbat-e-yaran nahin to kya kije

ye raqs-e-saya-e-sarw-o-chinar ka mausam

ye dil ke dagh to dukhte the yun bhi par kam kam

kuchh ab ke aur hai hijran-e-yar ka mausam

yahi junun ka yahi tauq-o-dar ka mausam

yahi hai jabr yahi iKHtiyar ka mausam

qafas hai bas mein tumhaare tumhaare bas mein nahin

chaman mein aatish-e-gul ke nikhaar ka mausam

saba ki mast-KHirami tah-e-kamand nahin

asir-e-dam nahin hai bahaar ka mausam

bala se hum ne na dekha to aur dekhenge

farogh-e-gulshan o saut-e-hazar ka mausam

(4055) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tauq-o-dar Ka Mausam In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Tauq-o-dar Ka Mausam is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Tauq-o-dar Ka Mausam for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Tauq-o-dar Ka Mausam in PDF.