Tum Ye Kahte Ho Ab Koi Chaara Nahin

tum ye kahte ho wo jang ho bhi chuki!

jis mein rakkha nahin hai kisi ne qadam

koi utra na maidan mein dushman na hum

koi saf ban na pai, na koi alam

muntashir doston ko sada de saka

ajnabi dushmanon ka pata de saka

tum ye kahte ho wo jang ho bhi chuki!

jis mein rakkha nahin hum ne ab tak qadam

tum ye kahte ho ab koi chaara nahin

jism KHasta hai, hathon mein yara nahin

apne bas ka nahin bar-e-sang-e-sitam

bar-e-sang-e-sitam, bar-e-kohsar-e-gham

jis ko chhu kar sabhi ek taraf ho gae

baat ki baat mein zi-sharaf ho gae

dosto, ku-e-jaanan ki na-mehrban

KHak par apne raushan lahu ki bahaar

ab na aaegi kya? ab khulega na kya

us kaf-e-naznin par koi lala-zar?

is hazin KHamushi mein na lauTega kya

shor-e-awaz-e-haq, nara-e-gir-o-dar

shauq ka imtihan jo hua so hua

jism-o-jaan ka ziyan jo hua so hua

sud se peshtar hai ziyan aur bhi

dosto, matam-e-jism-o-jaan aur bhi

aur bhi talKH-tar imtihan aur bhi

(3776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Ye Kahte Ho Ab Koi Chaara Nahin In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Tum Ye Kahte Ho Ab Koi Chaara Nahin is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Tum Ye Kahte Ho Ab Koi Chaara Nahin for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Tum Ye Kahte Ho Ab Koi Chaara Nahin in PDF.