Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5884b41b73e5da78fa5d72bf1e05aebe, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ishq-abaad Ki Sham - Faiz Ahmad Faiz Poetry In English - Darsaal

Ishq-abaad Ki Sham

jab suraj ne jate jate

ishq-abaad ke nile ufuq se

apne sunahri jam mein Dhaali

surKHi-e-awwal sham

aur ye jam

tumhaare samne rakh kar

tum se kiya kalam

kaha parnam

uTho

aur apne tan ki sej se uTh kar

ek shirin paigham

sabt karo us sham

kanar-e-jam

kisi ke nam

shayad tum ye man gain

aur tum ne

apne lab-e-gulfam

kiye anjam

kisi ke nam

kanar-e-jam

ya shayad

tum apne tan ki sej pe saj kar

thin yun mahw-e-aram

ki rasta takte takte

bujh gai sham-e-jam

ishq-abaad ke nile ufuq par

ghaarat ho gai sham

(6646) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq-abaad Ki Sham In English By Famous Poet Faiz Ahmad Faiz. Ishq-abaad Ki Sham is written by Faiz Ahmad Faiz. Read famous Poem Ishq-abaad Ki Sham for youth and Student by Faiz Ahmad Faiz. Free Download Ishq-abaad Ki Sham in PDF.