Ai Dil Achchha Nahin Masruf-e-fughan Ho Jaana

ai dil achchha nahin masruf-e-fughan ho jaana

gham ki tauhin hai ashkon ka rawan ho jaana

dil ki aawaz bhi majruh jahan hoti hai

aise haalat mein KHamosh wahan ho jaana

mere aansu jo giren Tank lo tum juDe mein

dekh le koi to phulon ka guman ho jaana

ahl-e-sahil ko bhi andaza-e-tufan ho jae

qatra-e-ashk zara sail-e-rawan ho jaana

ruKHsat-e-mausam-e-gul ke bhi uThao sadme

itna aasan nahin ehsas-e-KHizan ho jaana

qaid-e-mausam nahin naghmat-e-ana dil ke liye

koi mausam ho gul-e-tar ki zaban ho jaana

mere jine ka sahaara thin jo nazren kal tak

kya sitam hai unhen nazron ka garan ho jaana

shauq-afza hai ye andaz-e-hijab-e-KHuban

dil mein rahte hue aankhon se nihan ho jaana

wo gulistan mein jo aa jaen to mumkin hai 'KHayal'

muskuraati hui kaliyon ka jawan ho jaana

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Dil Achchha Nahin Masruf-e-fughan Ho Jaana In English By Famous Poet Faiz Ul Hasan. Ai Dil Achchha Nahin Masruf-e-fughan Ho Jaana is written by Faiz Ul Hasan. Read famous Poem Ai Dil Achchha Nahin Masruf-e-fughan Ho Jaana for youth and Student by Faiz Ul Hasan. Free Download Ai Dil Achchha Nahin Masruf-e-fughan Ho Jaana in PDF.