Dil Jis Ka Dard-e-ishq Ka Hamil Nahin Raha

dil jis ka dard-e-ishq ka hamil nahin raha

wo shaKHs tere pyar ke qabil nahin raha

jab bhi hinai hathon se gesu sanwar gae

aaina-e-bahaar muqabil nahin raha

har aastan se lauT ke aana paDa use

jo tere dar pe aane ke qabil nahin raha

mahrumiyan hi jis ka muqaddar hain dosto

wo mahfil-e-nashat ke qabil nahin raha

jab tum na the to kuchh bhi nahin tha bahaar mein

tum aa gae to koi muqabil nahin raha

diwane tere Dub gae gahri nind mein

zindan mein shor-e-tauq-o-salasil nahin raha

jab aap muskurae gham-e-dil ki baat par

dil dard ko chhupane ke qabil nahin raha

tanhaiyon ki bazm hi achchhi rahi 'KHayal'

mahfil mein pur-sukun kabhi dil nahin raha

(930) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Jis Ka Dard-e-ishq Ka Hamil Nahin Raha In English By Famous Poet Faiz Ul Hasan. Dil Jis Ka Dard-e-ishq Ka Hamil Nahin Raha is written by Faiz Ul Hasan. Read famous Poem Dil Jis Ka Dard-e-ishq Ka Hamil Nahin Raha for youth and Student by Faiz Ul Hasan. Free Download Dil Jis Ka Dard-e-ishq Ka Hamil Nahin Raha in PDF.