Subh-e-nau Lati Hai Har Sham Tumhein Kya Malum

subh-e-nau lati hai har sham tumhein kya malum

zaKHm KHushiyon ke hain paigham tumhein kya malum

bhul kar bhi jo kisi bazm mein aaya na gaya

sainkaDon us pe hain ilzam tumhein kya malum

log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se

un mein kitne hain tah-e-dam tumhein kya malum

kuchh andhere bhi KHatawar-e-tabahi hain magar

raushni par bhi hai ilzam tumhein kya malum

jis ko tum DhunDte ho sham-e-ruKH-e-naz liye

wo to arse se hai gumnam tumhein kya malum

jo ruKH-e-zist pe tha harf-e-ghalat ki manind

mil raha hai use inam tumhein kya malum

jo kafan bandh ke chalte hain wafa ki rah mein

zindagi kar chuke nilam tumhein kya malum

surKH-ru kaun hua kucha-e-jaanan mein kabhi

namwar bhi hue badnam tumhein kya malum

do qadam bhi na chale rah-e-wafa mein hum log

hai abhi zauq-e-talab KHam tumhein kya malum

jo jala raat ki tanhai mein us par bhi 'KHayal'

bewafai ka hai ilzam tumhein kya malum

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh-e-nau Lati Hai Har Sham Tumhein Kya Malum In English By Famous Poet Faiz Ul Hasan. Subh-e-nau Lati Hai Har Sham Tumhein Kya Malum is written by Faiz Ul Hasan. Read famous Poem Subh-e-nau Lati Hai Har Sham Tumhein Kya Malum for youth and Student by Faiz Ul Hasan. Free Download Subh-e-nau Lati Hai Har Sham Tumhein Kya Malum in PDF.