Wo Jitne Dur Hain Utne Hi Mere Pas Bhi Hain

wo jitne dur hain utne hi mere pas bhi hain

ye aur baat hai KHush hain magar udas bhi hain

ye dekhna hai hamein kis ka zauq kaisa hai

yahan sharab bhi hai zahr ke gilas bhi hain

unhi pe tohmat-e-diwangi lagate ho

jo ittifaq se mahfil mein ru-shanas bhi hain

jo raushni ke libaade ko oDh kar aae

shab-e-siyah ke wo matami libas bhi hain

tum apne shahr mein amn-o-aman ki baat karo

jahan sukun hai wahan log bad-hawas bhi hain

ghazal ke saz hain faiz-ul-hasan-'KHayal' jahan

wahan pe aah ba-lab bhi hain mahw-e-yas bhi hain

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Jitne Dur Hain Utne Hi Mere Pas Bhi Hain In English By Famous Poet Faiz Ul Hasan. Wo Jitne Dur Hain Utne Hi Mere Pas Bhi Hain is written by Faiz Ul Hasan. Read famous Poem Wo Jitne Dur Hain Utne Hi Mere Pas Bhi Hain for youth and Student by Faiz Ul Hasan. Free Download Wo Jitne Dur Hain Utne Hi Mere Pas Bhi Hain in PDF.