Aankhen Bujh Jaengi Shoala Rah Jaega

aankhen bujh jaengi shoala rah jaega

yani jo dekha tha dekha rah jaega

agli saat sher pura kar paegi

ya ye misra mere jaisa rah jaega

tera bosa aisa pyala hai jis mein se

pani pine wala pyasa rah jaega

donon mein se us pe dil ko rukna hoga

lamhon mein se jo zyaada rah jaega

meri aahaT sun le jo tu sun sakta hai

phir ye aana jaana naghma rah jaega

rang aaKHir uDte jaenge yaadon ke

dil mein baqi hai jo KHaka rah jaega

laDkiyan do uTh na paengi leTi to

husn apna husn chunta rah jaega

(656) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhen Bujh Jaengi Shoala Rah Jaega In English By Famous Poet Faizan Hashmi. Aankhen Bujh Jaengi Shoala Rah Jaega is written by Faizan Hashmi. Read famous Poem Aankhen Bujh Jaengi Shoala Rah Jaega for youth and Student by Faizan Hashmi. Free Download Aankhen Bujh Jaengi Shoala Rah Jaega in PDF.