Apne KHala Mein La Ki Ye Tumko Dikha Raha Hun Main

apne KHala mein la ki ye tum ko dikha raha hun main

wo jo KHala-naward hain un ke liye KHala hun main

ishq hua nahin mujhe ishq ko ho gaya hun main

utna nahin bacha hua jitna paDa hua hun main

ban to gaya hun kuza-gar ghum ke tere chaak par

jaisa bana raha tha tu waisa nahin bana hun main

miTTi yahan ki Thik hai miTTi se kuchh gila nahin

aankhen mila mila ke bas pani badal raha hun main

bhes diye ka dhaar kar teri dua sanwar kar

bich mein taqcha hai aur donon taraf khaDa hun main

ruh mili hai ya nahin itna main jaanta nahin

tere se ek jism ko pahle bhi mil chuka hun main

bara baje ke baad ek din ko nikalte hue

dekha to ja chuka hun par pakDa nahin gaya hun main

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne KHala Mein La Ki Ye Tumko Dikha Raha Hun Main In English By Famous Poet Faizan Hashmi. Apne KHala Mein La Ki Ye Tumko Dikha Raha Hun Main is written by Faizan Hashmi. Read famous Poem Apne KHala Mein La Ki Ye Tumko Dikha Raha Hun Main for youth and Student by Faizan Hashmi. Free Download Apne KHala Mein La Ki Ye Tumko Dikha Raha Hun Main in PDF.