Donon Jahan Se Aa Gaya Kar Ke Idhar Udhar Ki Sair

donon jahan se aa gaya kar ke idhar udhar ki sair

puchho na ja raha hun main karne ko ab kidhar ki sair

miTTi ki KHub-surati miTTi mein mil ke dekhiye

chhoDiye is makin ko kijiye apne ghar ki sair

dekhi nahin thi chaak ne achchhi tarah se dekh li

waise bhi dil-fareb thi kuze pe kuza-gar ki sair

seb ke peD ke tale gend wo ghumti hui

puri kashish se khinch kar karne lagi hai sar ki sair

waise to kuchh nahin pata itna pata hai bagh hai

barson se kar raha hun main jis ke liye udhar ki sair

teri hi sair ke liye aata rahunga bar bar

tera tha sat din ka shauq meri hai umr bhar ki sair

pahli nazar mein kaenat utni khili ki jitni thi

phir jo nazar ne sair ki karti rahi KHabar ki sair

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Donon Jahan Se Aa Gaya Kar Ke Idhar Udhar Ki Sair In English By Famous Poet Faizan Hashmi. Donon Jahan Se Aa Gaya Kar Ke Idhar Udhar Ki Sair is written by Faizan Hashmi. Read famous Poem Donon Jahan Se Aa Gaya Kar Ke Idhar Udhar Ki Sair for youth and Student by Faizan Hashmi. Free Download Donon Jahan Se Aa Gaya Kar Ke Idhar Udhar Ki Sair in PDF.