Isi Jahaz Ke Sahra Mein Dub Jaane Ki

isi jahaz ke sahra mein Dub jaane ki

KHabar mili thi mujhe KHwab mein KHazane ki

bahut se dida o nadida KHwab samne the

ek aisi samt thi karwaT mere sirhane ki

main is jagah pe jo ek din palaT ke aaya to

koi bhi chiz nahin thi mere zamane ki

har ek kaam suhulat se hota rahta tha

koi KHalish nahin hoti thi kar dikhane ki

main ek KHayal ka KHema lagae baiTha tha

bahut jagah thi mere pas sar chhupane ki

wo kya KHushi thi jo dil mein bahaal rahti thi

magar wajh nahin banti thi muskurane ki

ek aise waqt mein wo donon ho gae aabaad

jahan kisi ko ijazat nahin thi aane ki

ajib dasht tha jo mujh se dad chahta tha

qarib phaile hue dur ke zamane ki

tamam shahr mein puri tarah KHamoshi thi

mujhe paDi thi koi git gungunane ki

(854) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isi Jahaz Ke Sahra Mein Dub Jaane Ki In English By Famous Poet Faizan Hashmi. Isi Jahaz Ke Sahra Mein Dub Jaane Ki is written by Faizan Hashmi. Read famous Poem Isi Jahaz Ke Sahra Mein Dub Jaane Ki for youth and Student by Faizan Hashmi. Free Download Isi Jahaz Ke Sahra Mein Dub Jaane Ki in PDF.