Jo Dil Ko Pahle Mayassar Tha Kya Hua Us Ka

jo dil ko pahle mayassar tha kya hua us ka

jo is sukun se behtar tha kya hua us ka

kahan liye chali jati hai mujh ko virani

yahin kahin pe mera ghar tha kya hua us ka

kuchh aise ashk piye hain ki ab KHabar hi nahin

is aankh mein jo samundar tha kya hua us ka

nazar gai so gai par koi batae mujhe

baDe kamal ka manzar tha kya hua us ka

ye sochne nahin deta sitamgaron ka hujum

ki wo jo pahla sitam-gar tha kya hua us ka

main subh KHwab se jaga to ye KHayal aaya

jo raat mere barabar tha kya hua us ka

main jis ke hath laga hun use mubarak ho

magar jo mera muqaddar tha kya hua us ka

(1283) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Dil Ko Pahle Mayassar Tha Kya Hua Us Ka In English By Famous Poet Faizi. Jo Dil Ko Pahle Mayassar Tha Kya Hua Us Ka is written by Faizi. Read famous Poem Jo Dil Ko Pahle Mayassar Tha Kya Hua Us Ka for youth and Student by Faizi. Free Download Jo Dil Ko Pahle Mayassar Tha Kya Hua Us Ka in PDF.