Mohabbat KHwab Jaisi Hai

kisi bhi aankh ki putli pe chupke se

utarti hai nishan sa chhoD jati hai

yaqin ke rang dhundla kar

guman sa chhoD jati hai

mohabbat ka koi kulliya koi qanun

logon ki samajh mein aa nahin sakta

koi bhi us ke gahre bhed hargiz pa nahin sakta

chamakti dhup ki in chilchilati zard taron se

bana hai us ko fitrat ne

ye sab rangon se bartar hai

magar har rang us mein ghul gaya goya

chhuo to hath ki poren gulabi hon

samaat mein utarti dhimi dhimi chap jaisi hai

kitab-e-zist ke bhule hue se bab jaisi hai

mohabbat KHwab jaisi hai

(1464) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat KHwab Jaisi Hai In English By Famous Poet Fakhira Batool. Mohabbat KHwab Jaisi Hai is written by Fakhira Batool. Read famous Poem Mohabbat KHwab Jaisi Hai for youth and Student by Fakhira Batool. Free Download Mohabbat KHwab Jaisi Hai in PDF.