AaKHiri Aadmi

bujha do

lahu ke samundar ke us par

aaina-KHanon mein ab jhilmilate hue qumqumon ko bujha do

ki dil jin se raushan tha ab un charaghon ki lau bujh chuki hai

miTa do

munaqqash dar-o-baam ke jagmagate

chamakte hue sab buton ko miTa do

ki ab lauh-e-dil se har ek naqsh harf-e-ghalat ki tarah miT chuka hai

uTha do

lahu ke jazire mein

biphri hui maut ke zard panjon se parda uTha do

ki ab is jazire mein

lashon ke ambar bikhre paDe hain

faza mein har ek samt

jalte hue KHun ki bu rachi hai

wo aankhen jo apne badan ki tarah saf shaffaf thin

ab un daraKHton pe baiThe hue chil kawwon gidhon ki ghiza bin chuki hain

ye sola december ki bujhti hui sham hai

aur main

is lahu ke jazire mein jalta hua aaKHiri aadmi hun

(1107) Peoples Rate This

Fakhr-e-Alam Nomani's More Poetry

Your Thoughts and Comments

AaKHiri Aadmi In English By Famous Poet Fakhr-e-Alam Nomani. AaKHiri Aadmi is written by Fakhr-e-Alam Nomani. Read famous Poem AaKHiri Aadmi for youth and Student by Fakhr-e-Alam Nomani. Free Download AaKHiri Aadmi in PDF.