Ab Tasawwur Mein Haram Hai Na Sanam-KHana Hai

ab tasawwur mein haram hai na sanam-KHana hai

main jahan par hun wahin yar ka kashana hai

justuju-e-haram-o-dair se begana hai

mera dil aap ki taswir ka diwana hai

ab na kabe mein jhukega na sanam-KHane mein

mera sar sar nahin sang-e-dar-e-jaanana hai

sab teri mast-nigahi ka karam hai saqi

rind jo bhi yahan hosh se begana hai

(1048) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Tasawwur Mein Haram Hai Na Sanam-KHana Hai In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Ab Tasawwur Mein Haram Hai Na Sanam-KHana Hai is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Ab Tasawwur Mein Haram Hai Na Sanam-KHana Hai for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Ab Tasawwur Mein Haram Hai Na Sanam-KHana Hai in PDF.