Aankhon Mein Nami Aai Chehre Pe Malal Aaya

aankhon mein nami aai chehre pe malal aaya

ai jalwa-e-mahbubi jab tera KHayal aaya

tha un ki tawajjoh mein har jazb-e-talab mera

har chand moaddab thi jab mera sawal aaya

is baat pe badli hai bas chashm-e-karam un ki

ushshaq ke honTon pe kyun harf-e-sawal aaya

ya un ke hasin abru aae hain tasawwur mein

ya mahfil-e-hasti mein raKHshanda hilal aaya

hum sajda jahan kar len kaba wahin ban jae

miT kar teri ulfat mein hum ko ye kamal aaya

ab hashr-ba-daman hai har mahfil-e-tanhai

tum aae to furqat ki azmat pe zawal aaya

phir rang-e-junun barsa phulon ki qabaon par

ye kaun gulistan mein aashufta nihaal aaya

paigham-e-'fana' laya taskin-e-dil-e-muztar

wo aa gae nazron mein jab waqt-e-visal aaya

(1075) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Nami Aai Chehre Pe Malal Aaya In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Aankhon Mein Nami Aai Chehre Pe Malal Aaya is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Aankhon Mein Nami Aai Chehre Pe Malal Aaya for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Aankhon Mein Nami Aai Chehre Pe Malal Aaya in PDF.