Har GhaDi Pesh-e-nazar Ishq Mein Kya Kya Na Raha

har ghaDi pesh-e-nazar ishq mein kya kya na raha

mera dil bas teri taswir ka diwana raha

ye sitam mujh pe mere ishq ka achchha na raha

tujh ko dekha to mera dil mera apna na raha

aisa madhosh kiya teri tajalli ne mujhe

tur bhi mere liye wajh-e-tamasha na raha

yun tere naqsh-e-kaf-e-pa pe ada ki hai namaz

sar mein kaba ke liye ek bhi sajda na raha

zindagani tujhe le jaun mein kis ke dar par

dil mein hasrat na rahi sar mein bhi sauda na raha

wo na kabe mein mila hai na sanam-KHane mein

kya qayamat hai ki wo shoKH kisi ka na raha

ibtida ye thi ki main apna samajhta tha unhen

intiha ye hai ki main aap bhi apna na raha

wo paraya tha 'fana' is ka gila kya kije

gham to ye hai ki main KHud aap bhi apna na raha

(1136) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har GhaDi Pesh-e-nazar Ishq Mein Kya Kya Na Raha In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Har GhaDi Pesh-e-nazar Ishq Mein Kya Kya Na Raha is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Har GhaDi Pesh-e-nazar Ishq Mein Kya Kya Na Raha for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Har GhaDi Pesh-e-nazar Ishq Mein Kya Kya Na Raha in PDF.