Kis Ko Sunaun Haal-e-gham Koi Gham-ashna Nahin

kis ko sunaun haal-e-gham koi gham-ashna nahin

aisa mila hai dard-e-dil jis ki koi dawa nahin

meri namaz-e-ishq ko shaiKH samajh sakega kya

us ne dar-e-habib pe sajda kabhi kiya nahin

mujh ko KHuda se aashna koi bhala karega kya

main to sanam-parast hun mera koi KHuda nahin

kaise ada karun namaz kaise jhukaun apna sar

sehn-e-haram mein shaiKH-ji yar ka naqsh-e-pa nahin

kya hain usul-e-bandagi ahl-e-junun ko kya KHabar

sajda rawa kahan pe hai sajda kahan rawa nahin

mujh se shuru-e-ishq mein mil ke jo tum bichhaD gae

baat hai ye nasib ki tum se koi gila nahin

mujh ko rah-e-hayat mein log bahut mile magar

un se mila de jo mujhe aisa koi mila nahin

apna bana ke ai sanam tum ne jo aankh pher li

aisa bujha charagh-e-dil phir ye kabhi jala nahin

ishq ki shan marhaba ishq hai sunnat-e-KHuda

ishq mein jo bhi miT gaya us ko kabhi 'fana' nahin

(1366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Ko Sunaun Haal-e-gham Koi Gham-ashna Nahin In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Kis Ko Sunaun Haal-e-gham Koi Gham-ashna Nahin is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Kis Ko Sunaun Haal-e-gham Koi Gham-ashna Nahin for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Kis Ko Sunaun Haal-e-gham Koi Gham-ashna Nahin in PDF.