Jalwa Jo Tere RuKH Ka Ehsas Mein Dhal Jae

jalwa jo tere ruKH ka ehsas mein Dhal jae

is aalam-e-hasti ka aalam hi badal jae

un mast nigahon ka ek daur jo chal jae

hum dard ke maron ki taqdir badal jae

masruf-e-ibaadat ka yun KHatm ho afsana

sar ho teri chaukhaT pe dam mera nikal jae

tu lakh bacha daman dar se na uThunga main

un mein se nahin hun main Tale se jo Tal jae

ai jaan-e-karam mujh par ek chashm-e-karam kar de

aisa na ho diwana qadmon pe machal jae

hasrat bhari aankhon mein ek pal ke liye aa ja

dekhe jo teri surat diwana bahal jae

tu aag mohabbat ki bhar de meri nas nas mein

har zarra mere dil ka is aag mein jal jae

bijli tere jalwon ki gir jae kabhi mujh par

ai jaan meri hasti is aag mein jal jae

ai chaaragaro dekho bimar-e-mohabbat hun

tadbir karo aisi dil jis se bahal jae

tu jazb-e-mohabbat mein kar le wo asar paida

jis samt nazar uTThe ek tir sa chal jae

pamal-e-rah-e-ulfat ho jaun mohabbat mein

wo shoKH agar mujh ko qadmon se masal jae

taqdir kare ehsan yun baad-e-'fana' mujh par

KHak-e-dar-e-jaanana munh par mere mal jae

(1383) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalwa Jo Tere RuKH Ka Ehsas Mein Dhal Jae In English By Famous Poet Fana Bulandshahri. Jalwa Jo Tere RuKH Ka Ehsas Mein Dhal Jae is written by Fana Bulandshahri. Read famous Poem Jalwa Jo Tere RuKH Ka Ehsas Mein Dhal Jae for youth and Student by Fana Bulandshahri. Free Download Jalwa Jo Tere RuKH Ka Ehsas Mein Dhal Jae in PDF.