Aah Se Ya Aah Ki Tasir Se

aah se ya aah ki tasir se

ji bahal jata kisi tadbir se

ab se gham sahne ki aadat hi sahi

sulh kar len lao charKH-e-pir se

jabr ko kyunkar na samjhun iKHtiyar

tum ne bandha hai mujhe zanjir se

kaam ab us tadbir par hai munhasir

wasta jis ko na ho taqdir se

us nigah-e-naz ka allah re faiz

nisbaten hain zaKHm-e-dil ko tir se

hoshiyar o shoKH-e-be-parwa-KHiram

bach ke meri KHak-e-daman-gir se

ishq-e-'fani' us pe apni ye bisat

khelti hain bijliyan taswir se

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aah Se Ya Aah Ki Tasir Se In English By Famous Poet Fani Badayuni. Aah Se Ya Aah Ki Tasir Se is written by Fani Badayuni. Read famous Poem Aah Se Ya Aah Ki Tasir Se for youth and Student by Fani Badayuni. Free Download Aah Se Ya Aah Ki Tasir Se in PDF.